|
|
|
<< Home >>spiritual Email | Email This Page
Subject of this eMail :KRISHNA
Surya ne lagbhag 5 arab saal pahle chamakana shuru kiya aisa scientist ka andaza hai lekin surya to aadi-devta hai. dheere dheere yah badal chota or ghana hota gaya. jab badal sikuda iska bhitari bhag garam ho gaya. or ye itna jayda garam ho gaya ki ye chamakana shuru ho gaya or is tarah surya ka janam huya baki ke badal ne sormandal ko banaya jisme garah shudra-garah or dhumketu hai.
KITNA BADA HAI SURAJ
surya ki uski 1 dhuri se dusare dhuri tak lambaye 1,392,500 kilometer hai jo dharti se 109 guna jayda hai. iska bhar hamare dharti se 333,000 guna jayda hai or itna vishal hai ki isme 1,300,000 dhartiya sama sakti hai. agar ye dharti ka aakar 1 tennis ball jitna hai to surya 1 ghar ke barabar hai.
SURYA KIN CHIZO SE BANA HAI.
surya 1 vishal apne aap chamkane wala bahoot jayda garam gas's ka gola hai. iska taapmaan itna jayda hai ki ye garam safed rang main chamakata hai roshani or garmi ki kirane chodta hai. surya main jayda gas hydrojan hai. surya ke andar ye dheere-dheere 1 or gas hiliyam ke andar badal rahi hai. aisa hote time ye jayda garami karta hai. surya ki chamakdaar satah ko photosphayer kaha jata hai.
KYA SURYA AAKASH GHUMTA HAI?.
subah se sham tak aisa lagta hai jaise ki suraj aakash main ghum raha ho lekin ye jo samay hai prithavi ke ghumane ke karan hota hai. ye ham hai jo ghum rahe hai surya nahi. phir bhi surya dusare taraf se ghumta hai ye dharti ki tarah he ghumta hai bhumadhya rekha par ye sabse tej ghumta hai jabki iske dhruv sabse dheme hai jis tarah dharti apne chandrma ke sath surya ke gird ghumati hai use tarah surya dharti or baki ki sorparnali ke sath aakash ganga ke kendra ke gird ghumta hai.
SURYA GARHAN KE DORAN KYA HOTA HAI.
surya garhan ke doran chandrma surya ke samne aa jata hai or surya 1 new chandrma ki tarah chota hota dikhaye deta hai. pura surya garhan ke doran surya thode time ke liye pure tarah se gayab ho jata hai chandra garhan ke doran chand chota hota dikhaye deta hai or pure tarah se gayab ho sakta hai. aisa isliye hota hai kyuki dharti surya ke samne aa jati hai or iski chaya chand par padti hai. surya ki satah par lagbhag tapmaan 6000 degree sentigrate hai jo ubalte huye pani ka tapmaan sirf 60 guna hai.
WARNING!!!???
1. surya ki or sidhe nangi aankhon se dekhna bahoot khatarnaak ho sakta hai.
2. surya ki or durbeen ya telescope ke tarike se sidhe dekhane wala manav sare umar ke liye andha ho sakta hai.
3. is tarah surya ki or kabhi mat dekho. durbin ka istemal surya ki chavi ko kisi card ke tukde par he utarne ke liye kare.
PARMATMA
Surya Ki Chamak Mera Noor Hai Ye Sansar Jisse Bharpoor Hai Chandrma ka tej bhi tu mera Jaan Agni ko bhi karu main he parkashmaan, ananya bhav se mujhko bhajta hai jo mujhme rehta har samay har jagah vo, veh jeevan bitaye chahe kisi bhi dhang main, sada ranga he rehta hai bas mere rang main sun arjun na koye mujhsa dusra, hai sabhi ko bas mera he aasra piroya hai sab kuch mere taar main ki moti ho jaise kisi haar main jis or bhi dekhe udhar vo he, vo, sab use ka jagat main hai jo, usi ki drishti, kaan, sir, per, her jagah! vahi har or he, vahi har jagah! veh gyata hai sabhi indriyo ka khas, indriyo se rahit naki unka dass phir bhi rakhta har 1 ka khayal, nirgun hai par guno ka kare istemal!
yeh mitti, yeh paani, yeh agni, hawa or aakash, jagat par jo chaya yeh MANN, yeh BUDHI or YEH AHENKAR isi main basa hai ye sara sansar! Arjun ye mayavi jad hai mere sabhi unch parkarti hai 1 or bhi use dusare ko he tu sampuran maan tu us chetan aatma ko tu jaan! mainn sabme vyapt aatma amit, jo chetan sadev, na sakti kabhi jo meet, main he arambh, main he madhya, main he ant, jaise vayu vicharti hai aakash par idhar se udhar ho ya udhar se idhar veh aakash se jayege bahar kahan samajh aise he basa mere andar ye jahan, main poshak, main he swami, main hu paramdham, main sharandata, main shubh-ashubh, main vas-sthan, main hiteshi, main parlaykari, main he nidhan, main hu avinashi beej tu usko pehchan.
Arjun prabhu har 1 he hriday main hai samaya uski maya se koye nahi bach paya veh karma-anusar paraniyo ko ghumata rahe veh maya (money) ka chakkar chalata rahe, main hu ajanma, mera roop avinashi, main sabka swami, main here niwasi, sab kaam apne parkarti se chalata hu main yog maya se sab kuh diklhata hu main arjun mere mehat brahma roop ko tu pehchan jo hai sampuran bhuto ka grabh sthan yoni main bhi dalta hu main he pran us jad chetan ke milap ko tu jaan veh avinashi parmeshwar hai parmatma hai har or basi usi ki aatma sabka palan poshan karta hai jo teeno loko main bhi vicharta hai vo, param jyotiyo ki veh 1 jyot hai, veh maya se pare 1 satrot, veh gyan swaroop sa janane yogya hai, sabke hriday main basa 1 yog hai!
asthul sharir yani deh, yeh manav ki a-parkarti hai, sukshm sharir yani mann, budhi ichanye ye par-parkarti hai! aatma he vastvik hai matlab parmatma, aatma nahi kat sakti hai talwar se, jalti nahi yeh kisi parkar se, na bheege paani main bhigone se ye, na sukhe vayu main sukhane se ye, na janme, or na he mare, na sansar se aana jana pade ajanmi, nitya, puratan hai yeh, atal or sanatan hai yeh! Anadikaal se he reh raha hu main, aise he tu bhi reh raha hai ye jaan, ye aana-jana, ye duniya, hum sabhi na meete hai, NA MEETENGE KABHI! ye aatma jiska ghar hai sharir na meet sakti kabhi bas meet jata hai sharir amar avinashi samajh tu isko arjun yudh kar tu arjun mat ho adheer manushya badlta hai vastra jis tarah se jeev bhi badlata sharir us tarah se purana roop meet jata hai lag jata hai naveen aatma meet nahi sakti arjun kar ye yakin, aatma ke liye sharir hai 1 dera, jisme bachpan jawani, budhape ka phera, teri aatma ko mil jayega naya ghar tu dera badlane ki bekar ki chinta na kar.
sun arjun hai maya (money) ke teen gun satogun (Truth) Rajogun (Enjoy) or Tamogun (Kill) aatma sharir ke sampark main aati hai jab ye gun sharir main aa jate hai tab rag-roop rajogun hai icha ka roop, yeh jeev-aatma ke karam-phal ka swaroop, aatma iske sang main hoti hai jab (aaskati) gadbad isme aa jati hai tab a-gyan se jagta hai tamogun sabhi sharir wale isse mohit hai sun, aatma isse lipat jati hai jab aalas or nind (sleeping) aati hai tab! satogun hai param-anand ki pehchan, rajogun se milta raja ke jaisa saman tamas ko apmaan he apmaan tu jaan adhogati ko jata hai isse insaan! sharir par hai 3 guno ki maya jeevan se hat agar inka saya phir na jeena na marna na koye dukh, vo amrit pata hai bas sukh he sukh
MUKTI KE 3 RASTE
1. manushya nahi ho sakta kabhi karamheen uljha rahe inme jaise paani main fish karam karne se hoti hai sukh dukh main vridhi karam tyag se nahi prapt hoti hai kabhi sidhi, koye sansar main nahi reh sakta 1 pal jab vo bekar ho khali or nithal, har koye karam karne ko bechain hai, karam karna to ishwariyo guno ki den hai, mujhe dekh sansar ka dena hai kuch na he teeno loko se mujhe lena hai kuch, mere pass sab kuch hai main nahi deta hu kisi, phir bhi har pal har samay karamleen hu. parmatma ne ki hai srishti ki rachna isi srishti main har 1 ko basna karam dwara uski pooja karne par parth manav param sidhi ko hota hai prapt savdharam ke anusar he tu karam kar arjun karam karne se bilkul na darr, karamheen nahi ho sakta hai kabhi veer, kathin hai beena karam ke palna sharir, arjun tu sun mujhse ab karmo ka rehsay, samohan main inke har koye jata hai phans tu sadkarmo ke marg ko bhali bhanti pehchan hoga karam bandhan se mukt ye baat mere maan, jo manushya dekhe karam main a-karam, a-karam bhi use dikhaye deta hai karam, veh budhimaan or hai, or hai hoshiyaar, samast karmo ka karan haar, jo aaskati ko tyag karta hai, prabhu ka he hai sab kuch uska yahe marm, khud ko karta na samjhe jo prani, jaise kamal ke patte par na dehre paani, karam-yogi karta hai karam phal ka tyag prapt usko shanti ka marg, jo yogi nahi hai veh hai kamnayo ka peer, veh kamnayo ke phal main rehta adheer, jo har kriya main paaye brahma he brahma, hai vayu brahma or agni bhi brahma, hawan or hawan karne wala bhi vahi huya, na hoga brahma se alag na hoga kabhi! daan dene main icha hai bandhi agar, aankh daanphal par ho lagi magar, anchahe se yadi koye daan de to rajogun wala tu use jaan le! agar uchit na ho samay or vichar to daan dena bhi hai bilkul bekar isse dil dukhe or dukhaye esa daan tamogun wala kehlaye.
2. dil mujhme laga bhakt banja mera, pooja kar mere, mere samne apna sir jhuka satya kehta hu main mujhe tujhse pyar hai, mujhe prapt karne ka bas yahe marg hai, dharmatma ekdum ho jata hai veh param-shanti ko sada pata hai veh, veh nichay he nahi pata hai kasht, arjun na he meet sakta hai vo, na hota hai nasht, mitra or shatru ko jo samjhe saman, na sukh, na dukh, na maan, na apmaan, lage sardi garmi jise 1 jaise, laga ho jiski kisi se na lagi jo sansar ko santap deta nahi or sansar se santap leta nahi harsh aharsh se door hai, aisa bhakt mere aankhon ka noor hai. shudra vaishya, istri, (ladies) chahe ho jo paani yoni se kyu na janmi ho, mere sharan main aayega jo bas paramgati ko he payega vo, koye durachari bhi karta hai mere bhakti to usko bhi prapt hoti hai mere shakti, use sadhu he samajh a parth atal uski budhi confirm.
3. jis gyan se dikhe sab kuch saman jo avinashi par-matma ko leta pehchan bhaj main jiske samta virajmaan hai to satogun wala ye gyan hai, jise har dikhe bas parmatma har rang dhang main dikhaye de bas aatma jis din bhi use yeh samajh aayege sachi-daa-nand-dhan, BRAHMA ki prapti ho jayege! agar aatma ko koye jaan le guno or maya ko pehchan le, bitaye veh jeevan kisi bhi haal main nahi phansta punh veh janam ke jaal main. gyani ko hamesha 1 sa nazar chahe hathi ho, kutta ho, ya ho cow pandit or chaandaal ko dekhe saman, uske liye sab barabar, sab hai saman, veh yogi hai jo sabko 1 samjhe mitarta shaturta main jo na bhedh samjhe, dharmatma or paapi ko samjhe saman uske liye sab barabar sab hai saman, tu use bahut jayda guno wala or samajhdaar jaan. sukh dusaro ka samjhe apna he sukh, dukh oro ka samjhe apna he dukh, jo sabke parti sambhav dikhlata hai arjun vo param shetra yogi kehlata hai. gyani hota anya paraniyo se alag jab veh jagta to sota hai jagat param-tatv main leen ho kare brahma ka vichar us samay soya he rehta hai ye sara sansar jo prabhu prapti main he rehta hai magar piray-apiray ki na hoti jise lagan, 1 jagah budhi jiski roj hai, ek he bhav main sadev rehta hai veh. sagar main milta jaise paani, hota na aasman, na hoti ye dharti, ese he kare jo kamnayo se veyvahar param-shanti milti usko kaam kaami bekar, karam kiye ja tu arjun moh tyag kar, na jeet ki khushi, na harne ka santap, samtav he yog kehlata apne aap, jab lagti hai kahin aag sun parth to jal jaye sare jawansheel cheez (pardarth) isi tarah gyan ko agni tu maan jisse ho shubh-ashubh karmo ka parasthan, jo manushya kare ichayo ko mann se door kamnayo se na ho jiska dil bharpoor, na usme ahenkar ho, na ho apna paraya, sukh shanti mile usko chain usne hai paya, param-shanti ko prapt hai jo mahatma jan, sonp diya sab kuch mujhko tann or mann, smapt ho jata unke dukho ka aagman punah dharti par nahi lete hai ve janam.
Sender: vipin kumar |
|
|
|
|
|
|